ASQ House

Terms & Conditions

ASQ Store se khareedari karke aap in sharaait se ittefaq karte hain. Barah-e-meherbani order karne se pehle inhein parh lein.

1. Order Kaise Karein

Website par apna pasandeeda attar muntakhib karein, cart me daalein aur checkout par apna naam, mobile number aur mukammal pata likhein. Order milne ke baad hum aap ko confirmation call ya WhatsApp par rabta karein ge — order confirm hone ke baad hi dispatch hoga.

2. Payment

  • Cash on Delivery (COD): Parcel milne par cash dein.
  • Easypaisa / JazzCash: Payment 0346 9375260 par bhejein aur apna order number zaroor likhein taake payment aap ke order se match ho sake.

3. Returns ka Khulasa

Product milne ke 7 din ke andar return ki darkhwast ki ja sakti hai, basharte ke product seal pack aur ghair istemal shuda ho. Mukammal tafseel hamari Return Policy page par maujood hai.

4. Khushbu aur Product ki Tafseel

Khushbu ka pasand aana zaati pasand par munhasir hai — ek hi attar har shakhs ko mukhtalif lag sakta hai. Product ki tasveerein asal product ke qareeb-tareen hain, lekin rang ya shakal me halka farq mumkin hai (screen aur roshni ki wajah se).

5. Qeemat aur Dastiyabi

Qeematein aur dastiyabi baghair ittila tabdeel ho sakti hain. Confirm ho chuke order ki qeemat wohi rahegi jo order karte waqt thi. Agar koi product stock me na ho to hum aap ko foran ittila dein ge.

6. Rabta

Kisi bhi sawal ke liye WhatsApp karein: 0332 5878032.